Bekhud Kiye Dete Hain (Ae jalway janana)
Poet: Bedam Shah Warsi | Allama Iqbal | Khawaja Meer Dard | Akbar Allahabadi | Asghar Gondvi | Jaleel Manikpuri | Muztar Khairabadi | Fana Bulandshahri | Fana Nizami Kanpuri | Dattatriya Kaifi | Muhammad Samie
Aa jalway janana Bekhud kiye dete hain andaaz e hijabana Aa dil main tujhay rakhloon aie jalwa e janana Kyun aankh milayee thi kyoon aag lagayi thee Aab rukh ko chupa baithay kar kay mujhay deewana Bekhud kiye dete hain andaaz e hijabana Zahid meri kismat mein sajday hain usi dar kay Chuta hai na chuthay ga sange dar e janana Bekhud kiye dete hain andaaz e hijabana Kiya lutf ho mehshar mein shikway main kiye jaoon Woh haskay kahay jayein deewana hai dewana Bekhud kiye dete hain andaaz e hijabana Saaki teray aatay hee yeh josh hai masti ka Sheshay pay gira sheesha pemanay paymana Bekhud kiye dete hain andaaz e hijabana Maloom nahin baydam mein kon houn aur kiya hoon Youn apnoon main apna houn baiganoon mein baygana Bekhud kiye dete hain andaaz e hijabana Jee chahta hai tofay mai bejhun main unhein ankhen Kay darshan ka to darshan ho nazranay ka nazrana Penay ko to peelunga per arzz zara see hai Ajmeer ka saqi ho baghdad ka maikhana
